Urdu Jokes For Kids Biography
Source(google.com.pk)Race shuru hone ka elaan hua: 1..2..3…Go.
1 bacha apni jaga par khara raha,
coach ne pocha: Beta tum to race mai hissa lene ke liye itne pur-josh the phir jab elaan hua to bhage kiyu nahi?
Bacha bola: Sir,abhi to 1,2 aur 3 ke bhagne ka elaan hua hai, mera number to 4 hai.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Eik bachay ke ghar guests aa gaye.
Maa ne kaha: beta, mehmaanon ke liye kuch le kar aao.
Bachay miyan bhage bhage gaye.
Aur mehmaanon ke liye “Rikshaw” le aaye.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Bacha park mai betha ek ke baad ek toffee kha raha tha.
Paas betha 1 aadmi bola: Jo zada metha khata hai wo jaldi mar jata hai.
Bacha: Aap ko maloom hai mere dada ki umar 100 saal hai.
Admi: Wo metha kam khate hon ge?
Bacha: Nahi, wo apne kaam se kaam rakhte hain.
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Ek Haathi ke bache ne chonti se poocha: Tumhari age kitni hai?
Chonti: 40 years
Baby Elephant (hairat se): 40 saal aur itni choti ?
Chonti: Haan mai Lux istimaal karti hun es liye meri umar nazar nahi aati. Aur tumhari umar kiya hai?
Haathi ka bacha (fakhr se): 10years.
Chonti: 10 years! Aur itne bare?
Haathi ka bacha: Haan, mai Nido jo peeta hun
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Ek bacha exams mai fail ho gaya aur ghar aa kar zor zor se rone laga.
Baap ne us ko chup karwate hue kaha: Beta, sabr karo, tumhari qismat mai yahi likha tha.
Bacha (jaldi se) : Jee Papa, yeh to acha hua ke mai ne sara saal kuch nahi parha,warna sari mehnat zaya ho jati
Aik perley darge ke sust-ul-wajood shaks ne apne aik dost se kaha. Bhai meri to hamesha qudrat ne madad ki hai.
Kaise?
Sust aadmi bola.
Main ne kuch darakht girane ka program banaya tha ka toofan aagia aur kuch darakht gir gia is kay baad mujhe kura karkat ke dher ko jalana tha kay aasmani bijli karki aur kura karkat kay dher khud ba khud jal kar rakh ho gia.
Ab kia program hai.
Dost ne sust-ul-wajood se pucha.
Mera program zameen se aaloo gajarain nikalne ka hai aur main is kam ke liye zalzaley ka muntazir hon.
Musafir (Gard se): gard saheb kia gari chalne mein itna waqt hai keh main chaye pi aayon.
Gard: is kay yakeen dilane kay liye mein khud aap ke sath chal sakta hon chaye pine kay liye.
Aik aadmi ko buhat pias lagi huyi thi. Woh aik sharbat walay kay pas gia aur kaha mujhay aik glass sharbat do. Phir kaha meri larayi honay wali hai.
Sharbat walay nay dheyan nahi dia aur sharbat ka glass pesh kia.
Woh aadmi sharbat pi kar bola. Mujhay aik glass sharbat aur do meri larayi honay wali hai.
Sharbat walay nay suna magar kuch kaha nahi. Phir is nay kaha.
Sharbat walay nay tisra glass bhi dia aur jab is nay sharbat pi lia to is nay pucha aap ki kis say larayi honay wali hai.
Is aadmi nay kaha. Tum say kiun keh meray pas denay kay liye sharbat kay paisay nahi hain.
Bhikari nay aik aadmi say kaha:khanay ko kuch mil sakta hai?
Is aadmi nay poocha:kal ka salan khalo gay?
Bhikari nay kaha: Ji han koi harj nahi.
Is aadmi nay kaha: acha to phir kal aajana, aaj to kuch nahi hai.
Aik dafa aik musafir ko apni manzil per jate huye rastey main raat ho gayi. Is ne rastey main aik musafir khane yani saraye main raat basar karne ka faisla kia. Musafir ke pas aik sufaid rung ka ghora bhi tha.
Is ne wo ghora saraye kay mulazim ko de kar kaha keh tumhain iski hefazat karni hai. Sath hi is ne yeh sonch ker keh mulazim so na jaye isey lohe ka bana huya aik aalah dia jis se bhison ko nahlate huye ragar ragar kar in kay jism ki gandagi saaf kartay hain aur kaha keh is se ghorey ke jisam ko ragarte ya ghaste rahna. Ye kah ker wo so gia.
Mulazim thuri dair to ghorey ke jism ko lohe ke aaley se ragarta raha. Phir ye soch ker ke yahan konse chor aayen ge main bhi so jata hoon wo bhi so gia.
Sobha jab mulazim utha to ye daikh ker bara pareshan hoya keh ghora chor le gaya hai. Ab malik ko kia jawab de ga. Is ke zehan main aik terkeeb aagaii.
Is ne jaldi se ja ker jungal se aik sufaid rung ka khargosh pakra aur isko lohe ke aaley se ghasna shuroo kar dia. Isi doran malik uth giya aur ghorey ko gayab daikh ker poocha ghora kahan hai aur ye tum kia kar rahe ho.
Mulazim ne khargosh ki taraf ishara kerke kaha. Janab ye ghora hi to hai. Sari raat ghaste ghaste itna sara rah gia. Ab aap batayain aur ghasoon ya bas karoon.
Aik dost (Doosray say): Tumhari ammi ko kaisay pata chala keh tum nay mun nahi dhoya?
Doosra dost : mein sabun bhigona bhool gia tha.
Iqbal (Ahmad say):dunya ka sab say taqat war aadmi kon hai?
Ahmad: traffic police jo sirf hath kay aik isharay say sainkron garyan rok leta hai.
Bhikari (Aadmi say) bhayi do ropay ka sawal hai?
Aadmi : Sirf do rupay hi ka kiun?
Bhikari: Mein aadmi ki awqaat deikh kar hi mangta hon.
Baap (betay say): Tum nay tareekh mein itnay kam number kiun liye hain?
Beta: “ Abbu tareekh kay parchay mein ziadah tar sawalat aisay puchay gaye the jo meri paidaish say pehlay kay the.”
No comments:
Post a Comment